May 20, 2010

Pesh hai tashreef ka tashreef-nama !

Chhid gaya ek discussion...yaaro dosto mein....
Yaar bata ye tashreef aakir hoti kya cheez hain..

Ab naa to in mein koi shaayar tha,
naa hi koi philosopher..
to phir tashreef ko halaal to hona hi tha :):P

Kisi ne kaha...doston....dekho logically socho..
hum kehte hai... tashreef rakhiye...
To hamara mehmaan...sofe par 'tashreef' rakhta hai....
bas to phir yaar....meri tashreef, uska 'ass' :P

Doosra bola...to bhai ek baat bata.....
Jab humne apne saale se kaha tha...ki saale-saahab tashreef laeeye..
Woh 'saala' sirf apni 'tashreef' ko kyon nahi chhod gaya...
apna bada mooh aur kali se soorat bhi le aaya :@:P

Teesra dost bola... ab miya jaisa karoge vaisa hi to bharoge..
Kisi mohatarama se kehte ki -- aaeeye...
hamari gareeb khane mein tashreef laeeye..
To woh apni kale kajrare nayan, makhmali si aawaaz, [aha! - baki dost]
lachakti huyi kamar aur khanakti huyi payal
ko bhi tashreef ke saath le aati.....

Sab doston ki aankhein chamak uthi..
Aur tayy hua...ki tashreef mein jo bhi aaye...
bas kisi sundar bala se hi bola jaaye!
ki aaeeye... tashreef laeeye...!
------------------------------------------
Jagruti

0 Comments:

Post a Comment

<< Home