February 28, 2006

Kuch Dil Ki Baat

Normally I despise shayaris....hate it when someone sends the senti ones to me....
But I got caught in a different mood and wrote down some...

Kya kare...koi milke gaya humse abhi..
Shayrana kar gaya mausam abhi.. :-):-)

Is dil ek kone mein thodi si jagah hi to mangte hain...
Manaa ki aap ismein baste hain,
Bas kabhi mera tha iski gawahi to mangte hain

Ladte hain hum, manaa ladte hain humhein...
Par ye bhi to dekh zalim, jalte hain humhein !!

Jitna woh humein door nazar aate hain,
Utna hi hum unhe kareeb pate hain....
Haathon se naa sahi,
Aankhon se hum unhe chhoo jaate hain. :-)

E-shayar, manaa mere labzon mein teresi kashish na ho..
Zara is dil mein jhaank kar dekh, bhul jayenge unhe,
Agar in armaano mein teresi kashish na ho...

Dil ki ye kashti kabse liye khade hain..
Dil ki ye kashti kabse liye khade hain..
Aap kinare par bulaye, is aas mein,
Majhdhar mein hi khade hain !!

Kaun kehta hain deewarein iit patthar se banti hain,
Woh humein thanks bol de,
Deewar to yunhi ban jaayegi :-(

Rehte the hum kitabon mein, baste the hum nagmo mein,
Khinch laye bahar humein kehkar, dekho, kitin hansi ye duniya hain..
Dekhi ye duniya..joostjoo ki rabse...paya bhi bahut sabse..
Bas ek talaash baki hain...
Woh mile to hum laute..
Bas ek hansi ka pal mile to hum laute :-(

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

<< Home